Wednesday, December 26, 2012

Mulakat nahi karta

Shikayat hai ke vo mulakat nahi karta

Muskurata hai magar bat nahi karta

Shabdo ko rakhat hai motyon ki tarah

kanjoos hai kabhi istemal nahi karta

 

manta nahi kahna mera bas yunhin

Apne main magan hai kuch khayal nahi karta

har sur ko janta hai pahchanta hai har kala ko

phir bhi adhura sa hai koi pura kam nahi karta